The original poem as written by the legend… Only parts of which were used in the film by Yash Chopra…
Happy Birthday Sahir Ludhianvi !! The magician with words !
Kabhi Kabhi mere dil mein khayaal aataa hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaaon mein
Guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi
Yeh tiraagi jo mere zist ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na thaa ki main begana-e-alam reh kara
Tere jamaal ki ranaiyon mein kho rehta
Tera gudhdaaz badan, teri nimabaz aankhen
Inhin hasin fasano mein main ho rehta
Pukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghunt pee leta
Hayaat chikhti phirti barehana-sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke ji leta
Magar ye ho na saka
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Ki tu nahin, tera gham teri justaju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin
Zamane bhar ke dukhon ko lagaa chuka hun gale
Guzar raha hun kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt badte aate hain
Hayaat-o-maut ke pur-haal khaar-zaaron se
Na koi jaada, na manzil na roshani ka suraag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Inhi khalaon mein reh jaaunga kabhi kho kar
Main jaanta hun meri ham-nafas, magar yun hi
Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai…