#1YearOfMPB
#LifeIsLikeThat
Pyar karna bahut log sikhate hai … par afsos us pyar ko bhulate kaise hai … yeh saala koi nahi sikhata…
Kuch gaane aapki zindagi se yun hi jud jaate hai … unki dhun mein lipte hote hai chhote bade kisse … kayi saari yaadein…
Zindagi side ‘A’ se side ‘B’ ki tarah ghoomti gaano ki reel ki tarah hi toh hai … kabhi koi gaana itna pasand hai ki khatam hone se dar lagta hai … kabhi koi gaana poore din honthon se jaane ka naam nahi leta … aur kabhi koi gaane ki sirf dhun yaad reh jaati hai…
Zindagi ek pighalti hui ice cream ki tartah hai … taste nahi kiya toh waste ho jayegi…
Zindagi se behad pyar tha usse … aur khud se zindagi se bhi zyada…
Pyar mein itne thokar khane ke bawjood, zakhm pe Iodex malkar veer jawaan hamesha khade ho jaate hai … ek aur try karne ke liye…
Jab love ki spelling bhi nahi aati thi … matlab toh door ki baat thi … tab se jisse pyar kiya hai aur jab woh haan bol de … toh jaan bas nikalte nikalte reh jaati thi…
Kuch combinations hai na itne kamine kisam ka hote hai … alag alag mazedaar … lekin saath me na ‘phata-phati’ … magic sa ho jaata hai…